Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e957d859a076cad12d5f4ddb49ff3353, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Karb Aagahi - Injila Hamesh Poetry In English - Darsaal

Karb Aagahi

phir wahi andaz wahi aawaz

jaise abhi koi kahega

tum meri raushni ho

wahi aawaz

jis ne mohabbat se nafrat karna sikhaya

jis ne bawar karaya ki jism ki to koi haqiqat hi nahin

aadmi se aadmi ka rishta kabhi bhi be-maani ho sakta hai

tab kisi bite hue bikhre lamhe mein di gai aawaz Dub jati hai

magar ab ki bar aawaz se aawaz tak ke safar ne jo nam pukara

to malum hua

ki man mein kahin TuTi hui chuDi ka TukDa rah gaya tha

jo ab is aawaz ki lai pe bar bar chubhta hai

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karb Aagahi In English By Famous Poet Injila Hamesh. Karb Aagahi is written by Injila Hamesh. Read famous Poem Karb Aagahi for youth and Student by Injila Hamesh. Free Download Karb Aagahi in PDF.