Jila
zainab main teri bandi
tu aisi ba-hausla
is shan se jalti zamin par chali
ki sach ko zarurat na rahi kisi hil hujjat ki
tere liye aasmanon se koi moajiza nahin utra
ujDa hua ghar be-bizaati zmin-o-asman ki saKHtiyan
aur teri istaqamat
ki is qadar KHun-rezi ke baad bhi yazidi fath ka KHat na le sake
kisi ek fard-e-wahid se nahin
to ek pure ghalat nizam ke muqabil thi
ye wo maqam tha ki tariKH-danon o mohaqqiqin ne haar jit ke nazriyat ko alag andaz se dekha
teri mamta ko salam zainab apne jigar goshon ka gham uTha kar KHud ko TuTne nahin diya
aiwanon mein sar joDe baiThe ahl-e-siyasat
kisi natije par nahin pahunch pate
ki bachchon ko zabh karne wale
insan hain musalman hain
zainab
masum ali asghar ko zabh karne walon ko
tu ne KHuda ka ye farman bawar karaya tha
allah zalimon ko dost nahin rakhta
karbala ek rah-e-hidayat
raushni zara si darz kisi jhurri se daKHil ho kar
phaile hue andhere par ghaalib aa jati hai
aur tariki ko sawere mein badal dene wale rab ko malum hai
ki ishq ko baqi rakhne ke liye lahu se aabiyari ki gai
lahu bahta hai
to zamin zar-KHez hoti hai
wo taef ho kufa ho ya meri bad-nasib zamin
andha hujum hathon mein patthar liye
jila ko bujha deta chahta hai
jila jo dua-go hai
mabud unhen baKHsh de ye nahin jaante ye kya kar rahe hain
jila baatil ke hathon mein baiat nahin karti
jila masiha hai
mujhe maslub karne walo shaqi-ul-qalb hukmarano
bhala phuTti kirnon ko bhi koi salib de saka
jila zainab hai
jo jale hue andheron ke baad
hone wali ujDi subh se
us kaThin masafat ko tai karti hai
ki bahut si ghuTan aur hazar saubaton ke baad
ek wo maqam aata hai
jo taKHt ko nishan-e-ibrat bana de
(1172) Peoples Rate This