Ek Kahani Ishq Ki
main tere bahattar sathiyon mein nahin tha
mujhe to ishq ne muntaKHab kiya tha
ek wahshat-nak bhiD thi mere ird-gird
magar main is bhiD mein hote hue bhi
kisi wahshat ka hissa na tha
main to tanha tha
ahl-e-hakam ke nazdik to ek baghi tha
aur wo tamam hujum jo faqat hujum tha
be-chehra be-kirdar be-zehn faqat hujum
jo apni ghalat zaruraton ki KHatir
wahi kahte jo ahl-e-hakam kahte wahi sunte jo unhen sunaya jata
wahi dekhte jo unhen dikha jata
su-e-husain-ibn-e-ali
tum baghi Thahre
main is hujum ka hissa nahin tha
magar tum tak aane ke liye mujhe is hujum se guzarna tha
tumhaare sach ko jaanne ke liye
main ne kitne hi jhuT sune
main baatil ke raston ko ubur kar ke
haq tak pahuncha
main tere behtar sathiyon mein nahin tha
magar mashiyyat ko manzur tha ki husain hur se mile
ki tariKH ko bawar ho
ahl-e-ishq ke faisle
KHuda ke faisle hote hain
jis ne zamane ki qasam kha kar
KHasare ka mafhum samjhaya
aur main ne jum-e-ghalat ke darmiyan
is mafhum ko pa liya
main tere bahattar sathiyon mein nahin tha
husain main tera hur tha
(905) Peoples Rate This