Sasti Nazm
kaise matam karun
kaise nauhe likhun
kaise ruhon ki chiKHon se nazmen bunun
jagti bain karti hawaon se
ja kar lipaT jaun kya
kirchi kirchi ye KHwabon ke aaza jo bikhre paDe hain
unhen dekh kar phir palaT jaun kya
apne aqdar se qaul-o-iqrar se pichhe haT jaun kya
mujh ko iqrar hai
main ne KHwabon mein bichhDe kai KHwab-chehre likhe hi nahin
main ne hathon mein pakDe kisi hath ke KHauf likhe nahin
main ne aankhon se bahte lahu-rang ko lal likkha nahin
main ne ab tak kisi kokh virani ka haal likkha nahin
kyun ye wahshi qalam mere wijdan mein nazm bota nahin
mere ilham se ye jo lipTa hua KHauf ka aks hai kyun ye sota nahin
ab koi hadisa ho bhi jae agar to bhi hota nahin
nazm likkhun magar
ab mere shahr mein nazm likhne pe koi bhi rota nahin
(769) Peoples Rate This