Lay-by Area
tum ne ghaur se dekha
tum jahan pe ho is waqt
kal wahan pe ek laDki be-tahasha hairat se tum ko apni aankhon mein ghunT ghunT chunti thi
tum jo sar jhuka kar yun
be-KHabar se baiThe the
jaante nahin ho na
waqt ki nai dhun par
nazm ho rahe the tum
kya tumhaare chehre par
apni KHali aankhon se
koi nazm likkhega
kya KHabar ye hai tum ko
jab na aur kuchh sujhe
tum nazar churane ko apna sail uThate ho
us ghaDi mein bhi tum ne
jhilmilati aankhon se
phir nazar churane ko
apna sail uThaya hai
be-panah mohabbat ke
kapkapate hathon ki sari uljhi rekhaen tum ne dekh li thin na
phir usi jagah tum ko
kya mila koi aisa
jis ke hath par tum ne apna hath rakkha to us ki ruh tak kanpi
jab kisi ki chhanw mein
tez dhup jaisi ek dopahar mayassar ho
us samay mein kya tum ne
KHud ko us ki aankhon ke dasht se guzara hai
kya kisi ne bhi ab tak tum ko apni sanson se jism mein utara hai
dekh kar batao na
jis jagah pe baiThe ho
hai wahan koi aisa
hai koi mere jaisa
(812) Peoples Rate This