An-chhui Katha
main koi KHwab likhun kahani mein biti kisi raat ka
kahkashaon ki nagri se guzre hue
raat oDhe hue ek hasin sath ka
is gagan ki katha bhi likhun
jis pe nainon ke jhilmil diye jagmaga uThe the
jis pe baadal hamari tarah khilkhila uThe the
jis pe kohre ki chadar tale chand chup-chap tha
aur kahin dur murli pe bajta koi saz tha
wo jo KHwahish si bahti hui kasni nahr thi
wo jo aankhon se koson pare an-chhui sehr thi
han wahi han wahi han wahi qahr thi
mujh ko banhon mein apne chhupae hue
barf ki silwaTon se sarakte hue
dhund oDhe hue
dudhiya raushni se pare
chand ki oT mein
tere pahlu mein simTi hui
raat KHamosh thi
main bhi mera ke jaisi kisi kirshn ki yogini thi magar
main bhi nirdosh thi
(778) Peoples Rate This