MiTti Qadron Mein Bhi Paband-e-wafa Hain Hum Log

miTti qadron mein bhi paband-e-wafa hain hum log

kisi chalte hue jogi ki sada hain hum log

manzilen paoge hum KHak-nashinon ke tufail

hum ne mana ki nishan-e-kaf-e-pa hain hum log

ahl-e-mai-KHana hamein dekh ke hanste hain to kya

pir-e-mai-KHana ko malum hai kya hain hum log

zindagi qaid ki muddat hai to ye bhi sach hai

apne na-karda gunahon ki saza hain hum log

jo abhi waqt ke gumbad mein hai mahfuz ai 'kaif'

aur palaT kar nahin aai wo sada hain hum log

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

MiTti Qadron Mein Bhi Paband-e-wafa Hain Hum Log In English By Famous Poet Indr Mohan Mehta Kaif. MiTti Qadron Mein Bhi Paband-e-wafa Hain Hum Log is written by Indr Mohan Mehta Kaif. Read famous Poem MiTti Qadron Mein Bhi Paband-e-wafa Hain Hum Log for youth and Student by Indr Mohan Mehta Kaif. Free Download MiTti Qadron Mein Bhi Paband-e-wafa Hain Hum Log in PDF.