Yun Wafa Ke Sare Nibhao Gham Ki Fareb Mein Bhi Yaqin Ho
yun wafa ke sare nibhao gham ki fareb mein bhi yaqin ho
koi baat aisi kaho sanam ki fareb mein bhi yaqin ho
ye dayar-e-shisha-farosh hai yahan aainon ki bisat kya
yahan is tarah se rakho qadam ki fareb mein bhi yaqin ho
meri chahaton mein ghurur ho dil-e-na-tawan mein surur ho
tumhein ab ke khana hai wo qasam ki fareb mein bhi yaqin ho
yahi baat kah do pukar ke wahi silsile rahen pyar ke
isi naz mein rahe phir bharam ki fareb mein bhi yaqin ho
mere ishq ka ye meyar ho ki visal bhi na shumar ho
isi e'tibar pe ho karam ki fareb mein bhi yaqin ho
mere intizar ko kya KHabar tumhein iKHtiyar hai is qadar
mujhe do saliqa ye kam se kam ki fareb mein bhi yaqin ho
jahan zikr-e-mehr-o-wafa mile wahin 'indira' ka qalam chale
ye kitab-e-ishq mein ho raqam ki fareb mein bhi yaqin ho
(1181) Peoples Rate This