Ye Mausam Surmai Hai Aur Main Hun
ye mausam surmai hai aur main hun
magar bas KHamushi hai aur main hun
na jaane kab wo badle ruKH idhar ko
musalsal be-ruKHi hai aur main hun
taghaful par taghaful ho rahe hain
kisi ki dil-lagi hai aur main hun
tasawwur hi sahaara ban gaya hai
ajab tanhai si hai aur main hun
ye kaisi waqt ne badli hai karwaT
fareb-e-zindagi hai aur main hun
labon pe nam chehra hai nazar mein
baDi nazuk ghaDi hai aur main hun
udasi 'indira' itni baDhi hai
hamesha shairi hai aur main hun
(959) Peoples Rate This