Wo Ajib ShaKHs Tha BhiD Mein Jo Nazar Mein Aise Utar Gaya
wo ajib shaKHs tha bhiD mein jo nazar mein aise utar gaya
jise dekh kar mere honT par mera apna sher Thahar gaya
kai sher us ki nigah se mere ruKH pe aa ke ghazal bane
wo nirala tarz-e-payam tha jo suKHan ki had se guzar gaya
wo har ek lafz mein chand tha wo har ek harf mein nur tha
wo chamakte misron ka aks tha jo ghazal mein KHud hi sanwar gaya
jo likhun to nok-e-qalam pe wo jo paDhun to nok-e-zaban pe wo
mera zauq bhi mera shauq bhi mere sath sath nikhar gaya
ho taDap to dil mein ghazal bane ho milan to git hun pyar ke
han ajib shaKHs tha 'indira' jo sikha ke aise hunar gaya
(1422) Peoples Rate This