Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4mk1bkmccihls2p4fbnj33fnb6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tamam Fikr Zamane Ki Tal Deta Hai - Indira Varma Poetry In English - Darsaal

Tamam Fikr Zamane Ki Tal Deta Hai

tamam fikr zamane ki Tal deta hai

ye kaisa kaif tumhaara KHayal deta hai

hamare band kiwaDon pe dastaken de kar

shab-e-firaq mein wahm-e-visal deta hai

udas aankhon se dariya ka tazkira kar ke

zamana hum ko hamari misal deta hai

ye kaisa raat mein taron ka silsila nikla

jo gardishon mein muqaddar bhi Dhaal deta hai

bichhaD ke tum se yaqin ho chala hai ye mujh ko

ki ishq lutf-e-saza be-misal deta hai

(1090) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamam Fikr Zamane Ki Tal Deta Hai In English By Famous Poet Indira Varma. Tamam Fikr Zamane Ki Tal Deta Hai is written by Indira Varma. Read famous Poem Tamam Fikr Zamane Ki Tal Deta Hai for youth and Student by Indira Varma. Free Download Tamam Fikr Zamane Ki Tal Deta Hai in PDF.