Kash Wo Pahli Mohabbat Ke Zamane Aate
kash wo pahli mohabbat ke zamane aate
chand se log mera chand sajaane aate
raqs karti hui phir baad-e-bahaaran aati
phul le kar wo mujhe KHud hi bulane aate
un ki tahrir mein alfaz wahi sab hote
yun bhi hota ki kabhi KHat bhi purane aate
un ke hathon mein kabhi pyar ka parcham hota
mere ruThe hue jazbaat manane aate
barishon mein wo dhanak aisi nikalti ab ke
jis se mausam mein wahi rang suhane aate
wo bahaaron ka saman aur wo gul-posh chaman
aise mahaul mein wo dil hi dukhane aate
har taraf dekh rahe hain mere ham-umr KHayal
rah takti hui aankhon ko sulane aate
(2036) Peoples Rate This