Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_068f7577c514b4a99dddedfbabde038f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hazar KHwab Liye Ji Rahi Hain Sab Aankhen - Indira Varma Poetry In English - Darsaal

Hazar KHwab Liye Ji Rahi Hain Sab Aankhen

hazar KHwab liye ji rahi hain sab aankhen

tere bina hain magar meri be-sabab aankhen

chamakte chand sitaro gawah tum rahna

lagi rahi hain falak se tamam shab aankhen

tumhaare samne rahti hain nim-wa hamdam

Haya-shanas bahut hain ye ba-adab aankhen

bas ek did ki hasrat saja ke palkon par

milengi tum se KHayalon mein be-talab aankhen

sila diya hai mohabbat ka tum ne ye kaisa

masarraton mein bhi rone lagi hain ab aankhen

(975) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hazar KHwab Liye Ji Rahi Hain Sab Aankhen In English By Famous Poet Indira Varma. Hazar KHwab Liye Ji Rahi Hain Sab Aankhen is written by Indira Varma. Read famous Poem Hazar KHwab Liye Ji Rahi Hain Sab Aankhen for youth and Student by Indira Varma. Free Download Hazar KHwab Liye Ji Rahi Hain Sab Aankhen in PDF.