Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f98c6cdc93d5c3d29a9724429c5d3a6b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Ke Bechain Jaziron Mein Utar Jaega - Indira Varma Poetry In English - Darsaal

Dil Ke Bechain Jaziron Mein Utar Jaega

dil ke bechain jaziron mein utar jaega

dard aahon ke muqaddar ka pata laega

mere bichhDe hue lamhat saja kar rakhna

waqt lafzon mein ghazal ban ke Thahar jaega

us ki har baat jafa-pesha hui hai aksar

zaKHm ka KHauf kabhi us ko bhi dahlaega

waqt KHamosh hai TuTe hue rishton ki tarah

wo bhala kaise mere dil ki KHabar paega

sham-e-gham aaj bhi guzri hai hasin KHwabon mein

gham-e-jaanan to mohabbat mein sitam Dhaega

dil mera aaj jafaon pe bahut nazan hai

mere honTon pe tabassum hi nazar aaega

us ke mizrab se jab rag banenge dipak

megh chupke se mere dil pe baras jaega

(989) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ke Bechain Jaziron Mein Utar Jaega In English By Famous Poet Indira Varma. Dil Ke Bechain Jaziron Mein Utar Jaega is written by Indira Varma. Read famous Poem Dil Ke Bechain Jaziron Mein Utar Jaega for youth and Student by Indira Varma. Free Download Dil Ke Bechain Jaziron Mein Utar Jaega in PDF.