Rote Hain Jab Bhi Hum December Mein

rote hain jab bhi hum december mein

jam se jate hain gham december mein

jo hamein bhul hi gaya tha use

yaad aae hain hum december mein

sare shikwe-gile bhula ke ab

lauT aa ai sanam december mein

kis ka gham khae ja raha hai tumhein

aankh kyun hai ye nam december mein

yaad aata hai wo bichhaDna jab

KHub roe the hum december mein

wahi pal hai wahi hai sham-e-hazin

aaj phir bichhDe hum december mein

bas yahi ek tamanna hai 'indar'

kash mil jaen hum december mein

(1067) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rote Hain Jab Bhi Hum December Mein In English By Famous Poet Inder Saraazi. Rote Hain Jab Bhi Hum December Mein is written by Inder Saraazi. Read famous Poem Rote Hain Jab Bhi Hum December Mein for youth and Student by Inder Saraazi. Free Download Rote Hain Jab Bhi Hum December Mein in PDF.