Likkhenge Na Is Haar Ke Asbab Kahan Tak
likkhenge na is haar ke asbab kahan tak
rakkhenge mera dil mere ahbab kahan tak
girti hui diwar ke sae mein paDa hun
shal honge na aaKHir mere aasab kahan tak
hasrat hai ki tabir ke sahil pe bhi utrun
dekhunga yunhi roz nae KHwab kahan tak
aawaz se aari hain jo TuTi hui taren
kaam aaegi is haal mein mizrab kahan tak
wo abr ka TukDa hai magar dekhna ye hai
hoti hain nigahen meri sairab kahan tak
kuchh dur kinare ke manazir to hain lekin
jaega ye dariya yunhi payab kahan tak
Darta hun kahin zabt ka pal bit na jae
shoalon ko chhupaunga tah-e-ab kahan tak
(1391) Peoples Rate This