Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fcc5bbe4dbae2ddfe48a48649cb6a365, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Raste Jis Taraf Bulate Hain - Inam Nadeem Poetry In English - Darsaal

Raste Jis Taraf Bulate Hain

raste jis taraf bulate hain

hum usi samt chalte jate hain

roz jate hain apne KHwabon tak

roz chup-chap lauT aate hain

uDte phirte hain jo KHas o KHashak

ye koi dastan sunate hain

ye mohabbat bhi ek neki hai

is ko dariya mein Dal aate hain

yaad ke is khanDar mein aksar hum

apne dil ka suragh pate hain

sham se jal rahe hain be-masraf

in charaghon ko ab bujhate hain

(880) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raste Jis Taraf Bulate Hain In English By Famous Poet Inam Nadeem. Raste Jis Taraf Bulate Hain is written by Inam Nadeem. Read famous Poem Raste Jis Taraf Bulate Hain for youth and Student by Inam Nadeem. Free Download Raste Jis Taraf Bulate Hain in PDF.