Wo Aate-jate Idhar Dekhta Zara Sa Hai
wo aate-jate idhar dekhta zara sa hai
nahin hai rabt magar rabta zara sa hai
ye kufiyon ki kahani hai mere dost magar
yahan pe aap ka bhi tazkira zara sa hai
ab us ko kaTne mein jaane kitni umr lage
hamare darmiyan jo fasla zara sa hai
nigah ek saDak hai aur us ki manzil-e-dil
idhar se jawe to ye rasta zara sa hai
tujhe laga ki tu kar lega sabr mere baghair
tu kar ke dekh hi le tajraba zara sa hai
idhar 'kabir' bagule hawa ke tund-o-tez
aur is taraf ye akela diya zara sa hai
(847) Peoples Rate This