Har Samt Se UThta Hai Dhuan Shahr Ke Logo
har samt se uThta hai dhuan shahr ke logo
ye shahr to tha shahr-e-aman shahr ke logo
diwangi-e-ahl-e-KHirad pahunchi yahan tak
har shaKHs ka chehra hai dhuan shahr ke logo
rifat kise milti hai farawani-e-zar se
kirdar se ho faKHr-e-zaman shahr ke logo
le aai yahan tak hamein kirdar ki pasti
azmat hai na azmat ke nishan shahr ke logo
parwarda-e-iman-o-yaqin hote hue bhi
ye waswasa-e-wahm-o-guman shahr ke logo
phenko na KHamoshi pe meri tanz ke patthar
ab bhi hai mere munh mein zaban shahr ke logo
patthar ki chaTanon se ruka hai na rukega
'inam' hai ek ju-e-rawan shahr ke logo
(840) Peoples Rate This