Sochta Hun Sada Main Zamin Par Agar Kuchh Kabhi BanTta
sochta hun sada main zamin par agar kuchh kabhi banTta
to andheron ke nazdik jata unhen raushni banTta
tere hote hue hum tujhe DhunDte phir rahe the aziz
kash tu har ghaDi har jagah hum se maujudgi banTta
KHaliqa mujh ko malum hota agar aaKHiri moD hai
main bichhaDte hue sare kirdar ko zindagi banTta
waqt ne beDiyan Dal rakkhi thin panw mein warna to main
shahr ki sari galiyon ko har waqt aawargi banTta
mere bhai agar darmiyan apne diwar uThti nahin
tera dukh banTta aur tujh se main apni KHushi banTta
mujh ko kamre ki diwar khiDki calender samajhte the bas
aur koi nahin jin se main apni afsurdagi banTta
jo aziyyat ke KHane mein ab rakh rahe hain mohabbat ko kash
ishq hone se pahle unhen 'mir' ki shairi banTta
(1017) Peoples Rate This