Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4b15d1ef00cb977a0a830a86b7bb0dd4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Qissa-e-muKHtasar Nahin Hai - Imtiyaz-ul-haq Imtiyaz Poetry In English - Darsaal

Ye Qissa-e-muKHtasar Nahin Hai

ye qissa-e-muKHtasar nahin hai

tafsil-talab magar nahin hai

tum apne diye jalae rakkho

imkan-e-sahar agar nahin hai

tu mere dil mein jhankta hai

teri itni nazar nahin hai

jo log dikhai de rahe hain

kandhon pe kisi ke sar nahin hai

ab yun hi dekhta hun rasta

manzil pesh-e-nazar nahin hai

ye soch ke ki dua muaKHKHar

diwar mein koi dar nahin hai

be-ghar hun main 'imtiyaz' jab se

andesha-e-baam-o-dar nahin hai

(620) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Qissa-e-muKHtasar Nahin Hai In English By Famous Poet Imtiyaz-ul-haq Imtiyaz. Ye Qissa-e-muKHtasar Nahin Hai is written by Imtiyaz-ul-haq Imtiyaz. Read famous Poem Ye Qissa-e-muKHtasar Nahin Hai for youth and Student by Imtiyaz-ul-haq Imtiyaz. Free Download Ye Qissa-e-muKHtasar Nahin Hai in PDF.