Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8c31d7ab4814ee5cf89e85ed838d46c5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phir Aas-pas Se Dil Ho Chala Hai Mera Udas - Imtiyaz Ali Arshi Poetry In English - Darsaal

Phir Aas-pas Se Dil Ho Chala Hai Mera Udas

phir aas-pas se dil ho chala hai mera udas

phir ek jam ki barja hon jis se hosh hawas

hazar rang sahi par nahin zara bu-bas

hawa-e-sahn-e-chaman hum ko aae kaise ras

sitare ab bhi chamakte hain aasman pe magar

nahin hain shomi-e-qismat se hum sitara-shanas

khile hain phul hazaron chaman ke daman par

nawa-garan-e-chaman ko magar nahin ehsas

dil-o-jigar mein murawwat se paD gae nasur

hamein nahin hai magar us ke phal se phir bhi yas

ghire hue hain agar barq-o-baad-o-baran mein

to kya hua ki kinare ki hai abhi tak aas

junun ko apne chhupaen to kis tarah yaro

ki tar tar hai is shaghl-e-pak ka akkas

jo bewafai-e-gul se shikasta-KHatir ho

use batao ki hai ba-wafa-tar us se ghas

main is sharab-e-mohabbat se tang hun 'arshi'

ki jitna pijie baDhti hai aur utni pyas

(875) Peoples Rate This

Imtiyaz Ali Arshi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Phir Aas-pas Se Dil Ho Chala Hai Mera Udas In English By Famous Poet Imtiyaz Ali Arshi. Phir Aas-pas Se Dil Ho Chala Hai Mera Udas is written by Imtiyaz Ali Arshi. Read famous Poem Phir Aas-pas Se Dil Ho Chala Hai Mera Udas for youth and Student by Imtiyaz Ali Arshi. Free Download Phir Aas-pas Se Dil Ho Chala Hai Mera Udas in PDF.