Teri Fuzul Bandagi Bana Na De KHuda Mujhe
teri fuzul bandagi bana na de KHuda mujhe
main kya hun aur tu samajh raha hai jaane kya mujhe
na tu nazar mein hai kahin na dasht hai na shahr hai
ye kis KHala mein khinch lae tere naqsh-e-pa mujhe
tu apna kaam kar guzar mujhe koi gila nahin
jo waqt ne bana diya hawa tujhe diya mujhe
tujhe hi sochte hue phir aaj so gaya hun main
guzar tera ho KHwab se to nind se jaga mujhe
wahan se dekhti hai kya hawa-e-dast-e-mariya
zara mere qarib aa main KHak hun uDa mujhe
main jaante hue bhi sab KHaridta chala gaya
wo ashk bechta raha bata ke qahqaha mujhe
mile tamam log zindagi ki dhup-chhanw mein
bas ek 'imtiyaz' hi kahin nahin mila mujhe
(840) Peoples Rate This