Agar Hai Ret Ki Diwar Dhyan TuTega

agar hai ret ki diwar dhyan TuTega

ye hausla na pas-e-imtihan TuTega

jahan jahan bhi mera nam hai fasane mein

wahan wahan tera zor-e-bayan TuTega

tasawwuraat ke ghar mein KHamosh baiTha hun

tum aaoge to KHayali makan TuTega

kasif dhup se jal jaega hasin badan

meri umid ka jab saeban TuTega

ajib karb mein Dubi hui sada hogi

ghurur jab tera ban kar chaTan TuTega

na ras aaegi jab hum ko mauj-e-sail-e-rawan

hamari kashti pe jab baadban TuTega

mujhe yaqin tere jalwe fareb de denge

meri nigah ka jab bhi guman TuTega

ye zulm-o-jaur ke aiwan phir kahan honge

ye be-sutun agar aasman TuTega

sawad-e-manzil-e-idrak paega 'rahi'

nishan ban ke agar be-nishan TuTega

(881) Peoples Rate This

Imtiyaz Ahmad Rahi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Agar Hai Ret Ki Diwar Dhyan TuTega In English By Famous Poet Imtiyaz Ahmad Rahi. Agar Hai Ret Ki Diwar Dhyan TuTega is written by Imtiyaz Ahmad Rahi. Read famous Poem Agar Hai Ret Ki Diwar Dhyan TuTega for youth and Student by Imtiyaz Ahmad Rahi. Free Download Agar Hai Ret Ki Diwar Dhyan TuTega in PDF.