Koi To Hai Jo Aahon Mein Asar Aane Nahin Deta
koi to hai jo aahon mein asar aane nahin deta
mere naKHl-e-tamanna pe samar aane nahin deta
liye phirta hai mujh ko qarya qarya ku-ba-ku har dam
magar sare safar mein mera ghar aane nahin deta
mere KHun se jalata hai charagh-e-shahr-e-ahl-e-zar
mere hi ghar ke aangan mein sahar aane nahin deta
khilata hai wo dil mein nit-nae gul aarzuon ke
magar honTon talak is ki KHabar aane nahin deta
jidhar bhi dekhta hun main nazar aata hai bas wo hi
mujhe apne alawa kuchh nazar aane nahin deta
khula rakhta hai mere samne aflak ka manzar
magar kuchh soch kar wo mere par aane nahin deta
KHudaya waqt ke us par kya asrar hain pinhan
musafir ko kabhi to lauT kar aane nahin deta
main jaana chahta hun par meri majburiyan 'imrran'
wo aana chahta hai koi Dar aane nahin deta
(1394) Peoples Rate This