Apne Hisse Mein Hi Aane The KHasare Sare
apne hisse mein hi aane the KHasare sare
dost hi dost the basti mein hamare sare
zer-e-lab aah nami aankh mein chup chup tanha
aise hi hote hain ye dard ke mare sare
KHwab, ummid, tamannaen, talluq, rishte
jaan le lete hain aaKHir ye sahaare sare
tujh ko ek lafz bhi kahne ki zarurat kya hai
hum samajhte hain meri jaan ishaare sare
ishq kya itna baDa jurm hai? jis par yawar!
dushman-e-jaan hue jaan se pyare sare
aae jab tere muqabil to khula kuchh bhi nahin
gul-badan mah-jabin nur ke dhaare sare
haar hi jit hai aain-e-wafa ki ru se
ye wo bazi hai jahan jit ke haare sare
husn KHud qane hua lal-o-guhar par warna
hum to aflak se le aate sitare sare
kaun kafir hai ye jab puchha gaya waiz se
auj-e-mimbar se sada aai ki sare sare
Dubna likkha ho taqdir mein 'imrran' agar
aap ban jate hain gardab kinare sare
(1294) Peoples Rate This