Log Paband-e-salasil Hain Magar KHamosh Hain
log paband-e-salasil hain magar KHamosh hain
be-hisi chhai hai aisi ghar ke ghar KHamosh hain
dekhte hain ek-duje ko tamashe ki tarah
un pe karti hi nahin aahen asar KHamosh hain
hum harif-e-jaan ko is se baDh ke de dete jawab
koi to hikmat hai is mein hum agar KHamosh hain
apne hi ghar mein nahin milti aman to kya karen
phir rahe hain muddaton se dar-ba-dar KHamosh hain
TuTne se bach bhi sakte the yahan sab aaine
jaane kyun is shahr ke aaina gar KHamosh hain
pesh-KHema hai 'shanawar' ye kisi tufan ka
sab parinde uD gae hain aur shajar KHamosh hain
(1559) Peoples Rate This