Sudi Begam
kaun hai sudi begam
us ko jaante ho tum
wo jis ke qabze mein the raziya ke kangan
jis ke hathon mein thi raziya ki har aati jati sans ki Dor
jis ke pas paDe the us ke girwi KHwab
raziya ki shadi sar par thi
aur dil mein tha
sudi begam ki sudi aankhon ka KHauf
sudi begam ke changul se
sud-o-ziyan ke is jangal se
raziya bhagna chahti thi
warna ek din sudi begam
us ke ek ek pal ka sona kha jaegi
aur us ke baalon mein chandi aa jaegi
raziya ke andeshe us ko Daste rahte
raaton ko uTh uTh kar is par hanste rahte
be-kal be-kal roti rahti
raziya bhal-bhal roti rahti
us ke honTon aur galon se hijrat kar gai sari lali
rote rote ek din raziya ki aankhen bhi ho gain KHali
KHali aangan KHali bartan
aur andar ke KHali-pan se aajiz aa kar
roz roz ki is uljhan se aajiz aa kar
us ne ek tarkib nikali
gullak toDa
sikke joDe
chappal pahni
majburi ki chadar oDhi
ghar se nikli
rickshaw pakDa
aur ek bank ke darwaze pe ja utri wo
bank mein pahla qadam rakha to us ki chappal
moTe se qalin mein dhans gai
raziya phir ghunDon mein phans gai
(919) Peoples Rate This