SaDak
saDak masafat ki ujlaton mein
ghire hue sab musafiron ko
ba-ghaur fursat se dekhti hai
kisi ke chehre pe surKH wahshat chamak rahi hai
kisi ke chehre se zard hairat chhalak rahi hai
kisi ki aankhen hari-bhari hain
kabir had se ubhar raha hai
saghir qad se guzar raha hai
kisi ka tyre kisi ke pahiye ko kha raha hai
kisi ka juta kisi ki chappal chaba raha hai
kisi ke pairon mein aa raha hai kisi ka bachcha
kisi ka bachcha kisi ke shane pe ja raha hai
koi Thikane pe koi khane pe ja raha hai
habib dast-e-raqib thame
gharib-KHane pe ja raha hai
amir pinjra bana raha hai
ghulam kartab dikha raha hai
aur apne beTe ke sath chhat par
amin kunDa laga raha hai
nizam Tanga chala raha hai
kisi kalai pe jagmagati hui ghaDi hai
magar abhi wo ruki hui hai
kisi ke chehre pe bara bajne mein panch second rah gae hain
kisi ki hathi-numa prado
saDak se aise guzar rahi hai
siwae is ke kahin bhi jaise koi nahin ho
kisi ki monchhen jhuki hui hain
kisi ki banchhen khili hui hain
kisi ki taxi kisi ki foksi mili hui hain
kisi ke lab aur kisi ki aankhen sili hui hain
kisi ke kapDe phaTe hue hain
kisi ki pagDi chamak rahi hai
kisi ki rangat kisi ki Topi uDi hui hai
sharif nazren uTha uTha kar
kaman jismon pe apni wahshat ke tir kab se chala raha hai
nazir nazren chura raha hai
nafis apne cluff ki shiknon ko ro raha hai
hakim apne matab ke shishon ko dho raha hai
kisi ki aankhon ke dhundle shishon mein us ke mazi ki jhalkiyan hain
kisi ki aankhon mein aane wale hasin lamhon ki mastiyan hain
kisi ki aankhon mein rat-jagon ki kuchh arghawani si Doriyan hain
kisi ke kandhe pe us ke KHwabon ki boriyan hain
kabaD-KHane pe basi TukDon ki or kitabon ki boriyan hain
buzurg bargad ke niche buDha khaDa hua hai
aur us ke hathon mein tape lipTi hui chhaDi hai
police ki gaDi pikiT laga kar
saDak pe tirchhi khaDi hui hai
aur ek mazdur apna daman uThae be-bas khaDa hua hai
aur ek sipahi ki us ke nefe mein ungliyon ko ghuma raha hai
wahin pe shahid siyah chashma laga ke KHud ko chhupa raha hai
news channel ki chhoTi gaDi baDi KHabar ki talash mein hai
do sabzi wale bhi apni pheri laga rahe hain
to phul wale ke sar pe phulon ki Tokari hai
kisi ki aankhon mein naukri hai
kisi ki aankhon mein chhokri hai
waqar sar ko jhuka raha hai
faraaz khai mein ja raha hai
to gili cigarette ke kash laga kar
nawab rickshaw chala raha hai
salim kanni ghuma raha hai
wakil wardi mein ja raha hai
zamir baghlen baja raha hai
aur ek waiz bata raha hai
KHuda ko naraaz karne wale jahannami hain
KHuda ko raazi karo KHudara
KHuda ko raazi karo KHudara
aur us ke aage nasir akmal kamal shadab ghulam sare
nazar jhukae khaDe hue hain
ki chashm-e-bina agar kahin hai
to samjho patal tak gaDhi hai
kisi ko a-c KHaridna hai
kisi ko pi si KHaridna hai
kisi ki bas aur kisi ki bi-si nikal rahi hai
aqila KHala ke donon hathon mein aaTh thaile laTak rahe hain
aur aate jate sabhi musafir
unhen musalsal khaTak rahe hain
ziya andhere mein ja raha hai
gulab kachra jala raha hai
azim makkhi aDa raha hai
kalim guTka chaba raha hai
to ghanTa-package pe jaane kab se
fahim gappen laDa raha hai
sabaq musawat ka sikhane
wazir gaDi mein ja raha hai
sana nida ko nae latife suna rahi hai
hina hatheli ko takte takte purane raste se aa rahi hai
aur apni bhawaj ka hath thame
zubaida check-up ko ja rahi hai
wo apni nazren kabhi idhar ko kabhi adhar ko guma rahi hai
magar koi shai use musalsal bula rahi rahi hai
ajib ujlat ajib wahshat ajib ghaflat ka majra hai
kahun main kis se mere KHudaya ye kaisi KHilqat ka majra hai
ki apni masti mein mast ho kar
ye sab musafir guzar rahe
nae musafir ubhar rahe hain
saDak jahan thi wahin khaDi hai
magar haqiqat bahut baDi hai
saDak pe billi mari paDi hai
(1597) Peoples Rate This