Duniya Bhar Ke Dukh Ka Hasil
KHali kamra
gahri sansen
kamre ke ek kone mein ek TuTi-phuTi mez
mez pe duniya bhar ka gorakh-dhanda
kaTh-kabaD
kaTh-kabaD se thoDa aage tirchha paper-weight
paper-weight ke niche kaghaz
kaghaz par lafzon ka Dher
Dher ke pas ek TuTi ainak
ainak ke shishon ke pichhe moTe moTe harf
ainak ke shishon se aage nile pile kale dhabbe
dhabbon mein aundhe munh leTi aish-tray mein murda sansen bujhti cigarette
aur machis ki aadhi tili
machis ki tili pe chipka chae ka chhilka
aur ek TuTi DanDi ka cup
cup se aage mez ka kona
mez se aage jhulti kursi
kursi par ek shaKHs
shaKHs bhi wo jis ki aankhon mein duniya bhar ka dukh
duniya bhar ke dukh ka hasil
duniya bhar ka dukh!!
(1061) Peoples Rate This