Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_775fc3e51b0407191aebf82bdb764f78, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zindagi Mein Jo Ye Rawani Hai - Imran Shamshad Poetry In English - Darsaal

Zindagi Mein Jo Ye Rawani Hai

zindagi mein jo ye rawani hai

ek kirdar ki kahani hai

main ne us se kaha ye aansu hain

us ne mujh se kaha ye pani hai

taza taza hai tera gham 'imrran'

ye kahani baDi purani hai

ek to sar-phiri hawa ki chaal

aur kashti bhi baadbani hai

zaKHm jis waqt ki amanat tha

dard us daur ki nishani hai

sher jis ko samajh rahe hain janab

ye haqiqat mein be-zabani hai

phir wahi hai sawal-e-kaun-o-makan

phir wahi meri be-makani hai

ai KHuda ye wajud ka jhagDa

KHak ka hai ki aasmani hai

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Mein Jo Ye Rawani Hai In English By Famous Poet Imran Shamshad. Zindagi Mein Jo Ye Rawani Hai is written by Imran Shamshad. Read famous Poem Zindagi Mein Jo Ye Rawani Hai for youth and Student by Imran Shamshad. Free Download Zindagi Mein Jo Ye Rawani Hai in PDF.