Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_43a98e81c6e7e36eb87b134d8422bd0d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Ghalat Hai Ye Sal Thik Nahin - Imran Shamshad Poetry In English - Darsaal

Ye Ghalat Hai Ye Sal Thik Nahin

ye ghalat hai ye sal Thik nahin

har ghaDi ka malal Thik nahin

zindagi ek KHayal-KHana hai

aap ka ye KHayal Thik nahin

phul ko dhul ki zarurat hai

is qadar dekh-bhaal Thik nahin

girne wale ne sar uTha ke kaha

in sitaron ki chaal Thik nahin

aaina-saz Thik kahta hai

shishagar ki misal Thik nahin

sath chalte raho magar KHamosh

is safar mein sawal Thik nahin

aap ke naKHunon se yaad aaya

mere zaKHmon ka haal Thik nahin

itni chhoTi si baat par 'imrran'

itna gahra malal Thik nahin

(887) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Ghalat Hai Ye Sal Thik Nahin In English By Famous Poet Imran Shamshad. Ye Ghalat Hai Ye Sal Thik Nahin is written by Imran Shamshad. Read famous Poem Ye Ghalat Hai Ye Sal Thik Nahin for youth and Student by Imran Shamshad. Free Download Ye Ghalat Hai Ye Sal Thik Nahin in PDF.