Thahar Ke Dekh Tu Is KHak Se Kya Kya Nikal Aaya
Thahar ke dekh tu is KHak se kya kya nikal aaya
meri pur-gard peshani se bhi sajda nikal aaya
kahin pipal uge hain tisri manzil ke chhajje par
kahin khiDki ki chaukhaT se koi qabza nikal aaya
hamara rasta to ilm ka tha justuju ka tha
na jaane kaun se raste se ye rasta nikal aaya
to kya har ilm mushkil ki badaulat sikhte hain hum
jahan dushwariyan pahunchin wahin rasta nikal aaya
KHuda jaane ye ilm-e-haiat-e-ashya kahan Thahre
jise unsur sa samjha tha murkkab sa nikal aaya
ye manzil qaid-KHana lag rahi thi kuchh dinon pahle
aur ab is qaid-KHane ka bhi darwaza nikal aaya
bahut nazdik aane ka bahana mil gaya hum ko
tumhaara aur mera dur ka rishta nikal aaya
kisi ke aaina-KHane mein apna aks bhi gum hai
kisi ke aaine mein aaina-KHana nikal aaya
yahan tak main baDi mushkil baDi koshish se pahuncha tha
magar sanduq khola to naya naqsha nikal aaya
tumhaare shahr ki saDken bhi barish dho gai hogi
hamare ganw ki galiyon mein to sabza nikal aaya
(1021) Peoples Rate This