Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a6a299a813430b1410bbc2546e179114, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Muddat Se Aadmi Ka Yahi Masala Raha - Imran Shamshad Poetry In English - Darsaal

Muddat Se Aadmi Ka Yahi Masala Raha

muddat se aadmi ka yahi masala raha

patthar daraKHt aadmi us ka KHuda raha

daftar mein filon se ulajhne ke sath sath

ek shaKHs kar-e-ishq mein bhi mubtala raha

pahle wo kar-e-ishq mein uljha raha bahut

phir KHud mein wo KHuda ka nishan DhunDhta raha

jo kar nahin saka na suna us ka majra

jo kaam kar raha tha bata us ka kya raha

lamhon ki sui thak ke bahut sust ho gai

khiDki se bar bar koi jhankta raha

bistar pe apne aa ke mohabbat ko soch kar

pankhe ke par chhat ko yunhi dekhta raha

(913) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muddat Se Aadmi Ka Yahi Masala Raha In English By Famous Poet Imran Shamshad. Muddat Se Aadmi Ka Yahi Masala Raha is written by Imran Shamshad. Read famous Poem Muddat Se Aadmi Ka Yahi Masala Raha for youth and Student by Imran Shamshad. Free Download Muddat Se Aadmi Ka Yahi Masala Raha in PDF.