Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bd9fb4ab1b792eabd7b5113a507958c0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jal Kar Jis Ne Jal Ko Dekha - Imran Shamshad Poetry In English - Darsaal

Jal Kar Jis Ne Jal Ko Dekha

jal kar jis ne jal ko dekha

tum ne us pagal ko dekha

KHwab diye aur aaine mein

aane wale kal ko dekha

waqt ke sab se unche pul se

aate jate pal ko dekha

KHwahish ke changul se aage

hairat ke jangal ko dekha

sahra mein ek kursi dekhi

kursi par sachchal ko dekha

dekhin tishna-lab ki aankhen

aankhon ke jal-thal ko dekha

baadal jab dariya par barsa

dariya ne baadal ko dekha

mausam ne jab karwaT badli

chadar ne kambal ko dekha

aankhon ki gahrai jaani

peshani ke bal ko dekha

daldal ke sabze se guzre

sabze ke daldal ko dekha

mazi ke har peD pe hum ne

mustaqbil ke phal ko dekha

likhne walo hath uTha lo

kis kis ne maqtal ko dekha

tum ne ziddi dekhe honge

dil jaise aDiyal ko dekha

mushkil kitni mushkil mein thi

mushkil ne jab hal ko dekha

khurach khurach kar shak ne khaddar

mal mal kar malmal ko dekha

dariya pir-abaad mein kis ne

shaalu aur shal shal ko dekha

qainchi jab Dam Dam par jhapTi

kikar ne pipal ko dekha

baalTi gailan tasle dekhe

aur phir main ne nal ko dekha

dariya ki lahren gin gin ke

pani ki botal ko dekha

hairam dew ne sona kha kar

chandi aur pital ko dekha

dekha kya kya dekh raha hai

ghaur se jab goggle ko dekha

channel par KHabren to dekhin

KHabron ke channel ko dekha

(1120) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jal Kar Jis Ne Jal Ko Dekha In English By Famous Poet Imran Shamshad. Jal Kar Jis Ne Jal Ko Dekha is written by Imran Shamshad. Read famous Poem Jal Kar Jis Ne Jal Ko Dekha for youth and Student by Imran Shamshad. Free Download Jal Kar Jis Ne Jal Ko Dekha in PDF.