DhunDiye Din Raat Hafton Aur Mahinon Ke BaTan
DhunDiye din raat hafton aur mahinon ke baTan
la-makan mein kho gae hain in makinon ke button
sirf chhune se nazar aata hai manzar ka fareb
dekhne mein KHush-numa hain aabginon ke button
daras-e-taqwa dene wale ki qaba par dekhiye
sone chandi aur chamkile naginon ke button
ab gareban chaak ka matlab batane ke liye
kholne paDte hain akasr aastinon ke button
jab sada-e-kun ka ugla marhala aa jaega
aasman ke kaj mein honge zaminon ke button
koi hai, warna ye duniya kis qadar barbaad ho
pagalon ke hath mein hain sab mashinon ke button
(856) Peoples Rate This