Main Apne Haal-e-zar Ka Aaina-dar Hun
main apne haal-e-zar ka aaina-dar hun
jaise kisi gharib ka ujDa mazar hun
kyun tanz aap karte hain mere gunah par
ye main ne kab kaha hai ki parhez-gar hun
yarab meri tarah se koi aur bhi hai kya
ya sirf ek main hi yahan sangsar hun
jo dil ki baat thi wahi lafzon mein Dhaal di
duniya samajh rahi hai ki taKHliq-kar hun
socha tha tujh ko pa ke milega mujhe qarar
tu mil gaya to aur bhi main be-qarar hun
naz-o-niam se pal ke jis ko jawan kiya
afsos aaj main usi beTe pe bar hun
(1068) Peoples Rate This