Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_382c0f8ca76e9acd243c48f09b2bcf98, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tujhko Dekha To Ye Laga Hai Mujhe - Imran Husain Azad Poetry In English - Darsaal

Tujhko Dekha To Ye Laga Hai Mujhe

tujh ko dekha to ye laga hai mujhe

ishq sadiyon se jaanta hai mujhe

aashna saDken ajnabi chehre

shahr mein aur kya dikha hai mujhe

log qimat meri lagate hain

kis jagah tu ne rakh diya hai mujhe

subh ruKHsat kare makan mera

sham ko KHud hi DhunDhta hai mujhe

rat-jago tum hi kuchh batao ab

ishq to hai hi aur kya hai mujhe

main bhi kya dusron ke jaisa hun

KHud ko bahar se dekhna hai mujhe

baat sach hai magar kahun kaise

tishnagi ne Dubo diya hai mujhe

mauj-dar-mauj miT raha hun main

kaun sahil pe likh gaya hai mujhe

kis liye rose jag jata hun

kaun hai jis ka Dar laga hai mujhe

(864) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhko Dekha To Ye Laga Hai Mujhe In English By Famous Poet Imran Husain Azad. Tujhko Dekha To Ye Laga Hai Mujhe is written by Imran Husain Azad. Read famous Poem Tujhko Dekha To Ye Laga Hai Mujhe for youth and Student by Imran Husain Azad. Free Download Tujhko Dekha To Ye Laga Hai Mujhe in PDF.