Ek Muddat Se To Thahre Hue Pani Mein Hun Main
ek muddat se to Thahre hue pani mein hun main
aur had ye hai ki kahna hai rawani mein hun main
zindagi jakDe hue thi mere andar mujh ko
maut ke baad laga jaise rawani mein hun main
mere hone pe jahan mujh ko hi shak hota tha
aaj us shahr ki nayab nishani mein hun main
mera kirdar to bilkul bhi nahin mujh jaisa
koi batlae mujhe kis ki kahani mein hun main
kitni hi tarah se kaghaz pe likhun KHud ko magar
mujh ko malum hai bas ek maani mein hun main
KHud ko tamir karun aur bikhar bhi jaun
apni nakaam tamannaon ke sani mein hun main
qabr viran mere jism se baDh kar to nahin
kis liye KHauf-zada naql-e-makani mein hun main
hadse dard ghuTan sare wahi hain kewal
ab ke kirdar kisi aur kahani mein hun main
mere jazbaat to buDhon ki tarah lagte hain
sirf chehra ye batata hai jawani mein hun main
(840) Peoples Rate This