Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4c273c45b014634466ca45fcb20891c0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aasman Mil Na Saka Dharti Pe Aaya Na Gaya - Imran Husain Azad Poetry In English - Darsaal

Aasman Mil Na Saka Dharti Pe Aaya Na Gaya

aasman mil na saka dharti pe aaya na gaya

zindagi hum se koi Thaur banaya na gaya

aasman mujh se miyan hujre mein laya na gaya

shairi chhoD di mafhum churaya na gaya

naukri ki, likhi nazmen, sukun paya na gaya

shahr-e-dil tujh ko kisi taur basaya na gaya

ghar ki viraniyan ruswa huin bekar mein hi

mujh se bazar mein bhi waqt bitaya na gaya

josh mein Dha to di rishte ki imarat lekin

donon se aaj talak malba haTaya na gaya

KHun ke dagh na aa jaen mere lahje mein

is liye ghazlon ko aKHbar banaya na gaya

dikh na jae tu bichhaDti hui bas is Dar se

mujh se aankhon ko koi KHwab dikhaya na gaya

apna hissa bhi to manga hai zamin se main ne

aasman yun hi mere sar pe giraya na gaya

jo teri yaad ke panchhi na ruke kya hai ajab

umr bhar dil mein to tujh ko bhi biThaya na gaya

zat mazhab ki zaban nam usi ke to hain sab

KHud ko jis qaid se ta-umr chhuDaya na gaya

KHak dariya ke kinaron ko milaunga main

KHud ko hi aaj talak KHud se milaya na gaya

mera iman hua KHarch jise pane mein

kya ghazab hoga jo us shai ko bachaya na gaya

(891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aasman Mil Na Saka Dharti Pe Aaya Na Gaya In English By Famous Poet Imran Husain Azad. Aasman Mil Na Saka Dharti Pe Aaya Na Gaya is written by Imran Husain Azad. Read famous Poem Aasman Mil Na Saka Dharti Pe Aaya Na Gaya for youth and Student by Imran Husain Azad. Free Download Aasman Mil Na Saka Dharti Pe Aaya Na Gaya in PDF.