Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4c62ae30d65da05a80dc483bd449364b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
ZaKHm Ab Tak Wahi Sine Mein Liye Phirta Hun - Imran Aami Poetry In English - Darsaal

ZaKHm Ab Tak Wahi Sine Mein Liye Phirta Hun

zaKHm ab tak wahi sine mein liye phirta hun

kufe walon ko madine mein liye phirta hun

jaane kab kis ki zarurat mujhe paD jae kahan

aag aur KHak safine mein liye phirta hun

ret ki tarah phisalte hain meri aankhon se

KHwab aise bhi KHazine mein liye phirta hun

ek nakaam mohabbat mera sarmaya hai

aur kya KHak dafine mein liye phirta hun

dil pe likkha hai kisi aur pari-zad ka nam

naqsh ek aur nagine mein liye phirta hun

is liye sab se alag hai meri KHushbu 'ami'

mushk-e-mazdur pasine mein liye phirta hun

(1695) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ZaKHm Ab Tak Wahi Sine Mein Liye Phirta Hun In English By Famous Poet Imran Aami. ZaKHm Ab Tak Wahi Sine Mein Liye Phirta Hun is written by Imran Aami. Read famous Poem ZaKHm Ab Tak Wahi Sine Mein Liye Phirta Hun for youth and Student by Imran Aami. Free Download ZaKHm Ab Tak Wahi Sine Mein Liye Phirta Hun in PDF.