Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1744997a3d2d1119e7273e52ae745eea, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Sach Kahun Pas-e-diwar JhuT Bolte Hain - Imran Aami Poetry In English - Darsaal

Main Sach Kahun Pas-e-diwar JhuT Bolte Hain

main sach kahun pas-e-diwar jhuT bolte hain

mere KHilaf mere yar jhuT bolte hain

mili hai jab se unhen bolne ki aazadi

tamam shahr ke aKHbar jhuT bolte hain

main mar chuka hun mujhe kyun yaqin nahin aata

to kya ye mere aza-dar jhuT bolte hain

ye shahr-e-ishq bahut jald ujaDne wala hai

dukan-dar o KHaridar jhuT bolte hain

bata rahi hai ye taqrib-e-mimbar-o-mehrab

ki muttaqi o riya-kar jhuT bolte hain

qadam qadam pe nai dastan sunate log

qadam qadam pe kai bar jhuT bolte hain

main sochta hun ki dam len to main unhen Tokun

magar ye log lagatar jhuT bolte hain

hamare shahr mein 'ami' munafiqat hai bahut

makin kya dar-o-diwar jhuT bolte hain

(3793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Sach Kahun Pas-e-diwar JhuT Bolte Hain In English By Famous Poet Imran Aami. Main Sach Kahun Pas-e-diwar JhuT Bolte Hain is written by Imran Aami. Read famous Poem Main Sach Kahun Pas-e-diwar JhuT Bolte Hain for youth and Student by Imran Aami. Free Download Main Sach Kahun Pas-e-diwar JhuT Bolte Hain in PDF.