Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_361ef109a140840b6adc1e60d9a00192, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Is Dasht Se Aage Bhi Koi Dasht-e-guman Hai - Imran Aami Poetry In English - Darsaal

Is Dasht Se Aage Bhi Koi Dasht-e-guman Hai

is dasht se aage bhi koi dasht-e-guman hai

lekin ye yaqin kaun dilaega kahan hai

ye ruh kisi aur ilaqe ki makin hai

ye jism kisi aur jazire ka makan hai

karta hai wahi kaam jo karna nahin hota

jo baat main kahta hun ye dil sunta kahan hai

kashti ke musafir pe yunhi tari nahin KHauf

Thahra hua pani kisi KHatre ka nishan hai

jo kuchh bhi yahan hai tere hone se hai warna

manzar mein jo khilta hai wo manzar mein kahan hai

is rakh se uThti hui KHushbu ne bataya

marte hue logon ki kahan ja-e-aman hai

ye kar-e-suKHan kar-e-abas to nahin 'ami'

ye qafiya-paimai nahin husn-e-bayan hai

(1084) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Dasht Se Aage Bhi Koi Dasht-e-guman Hai In English By Famous Poet Imran Aami. Is Dasht Se Aage Bhi Koi Dasht-e-guman Hai is written by Imran Aami. Read famous Poem Is Dasht Se Aage Bhi Koi Dasht-e-guman Hai for youth and Student by Imran Aami. Free Download Is Dasht Se Aage Bhi Koi Dasht-e-guman Hai in PDF.