Ham-sae Mein Shaitan Bhi Rahta Hai KHuda Bhi
ham-sae mein shaitan bhi rahta hai KHuda bhi
jannat bhi mayassar hai jahannam ki hawa bhi
ye shahr to lagta hai kabaDi ki dukan hai
khoTa bhi isi mol mein bikta hai khara bhi
is jism ko bhi chaT gai sans ki dimak
main ne use dekha tha kisi waqt hara bhi
jaise kabhi pahle bhi main guzra hun yahan se
manus hai is rah se meri laghzish-e-pa bhi
is dasht ko pahchan rahi hain meri aankhen
dekha hua lagta hai ye an-dekha hua bhi
tum bhi to kisi baat pe raazi nahin hote
tabdil nahin hota muqaddar ka likha bhi
ab faisla-kun moD pe aa pahuncha mera ishq
dariya bhi hai maujud yahan kachcha ghaDa bhi
mumkin hai mein is bar bhaTak jaun safar mein
is bar mere sath hawa bhi hai diya bhi
ye shahr farishton se bhara rahta hai 'ami'
is shahr pe ek KHas inayat hai saza bhi
(1449) Peoples Rate This