Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bd869d60006d0d0bd7038223d27cfaae, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ehtiyatan Use Chhua Nahin Hai - Imran Aami Poetry In English - Darsaal

Ehtiyatan Use Chhua Nahin Hai

ehtiyatan use chhua nahin hai

aadmi hai koi KHuda nahin hai

dasht mein aate jate rahte hain

ye hamare liye naya nahin hai

tum samajhte ho naKHuda KHud ko

tum pe dariya abhi khula nahin hai

jis ka hal sochne mein waqt lage

wo mohabbat hai masala nahin hai

bagh par sher kahne walon ka

ek misra hara-bhara nahin hai

ret hi ret hai tah-e-dariya

yani sahra abhi mera nahin hai

aao chalte hain ab KHala ki taraf

sun rahe hain wahan KHala nahin hai

(1300) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ehtiyatan Use Chhua Nahin Hai In English By Famous Poet Imran Aami. Ehtiyatan Use Chhua Nahin Hai is written by Imran Aami. Read famous Poem Ehtiyatan Use Chhua Nahin Hai for youth and Student by Imran Aami. Free Download Ehtiyatan Use Chhua Nahin Hai in PDF.