Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_41d5492948807374f8f8d0364266c0b0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
AaKHir Ek Din Sab Ko Marna Hota Hai - Imran Aami Poetry In English - Darsaal

AaKHir Ek Din Sab Ko Marna Hota Hai

aaKHir ek din sab ko marna hota hai

yani misra pura karna hota hai

main dariya ki gahrai tak jata hun

main ne kaun sa par utarna hota hai

apne aansu aap hi rona hote hain

apna ghaw aap hi bharna hota hai

is sahra ko panchhi pujne aate hain

jis sahra ke dil mein jharna hota hai

hum to zamin par rengne wale kiDe hain

hum ne kab hijrat se Darna hota hai

uDne wale kaise bhul gae 'ami'

panw aaKHir KHak pe dharna hota hai

(2026) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHir Ek Din Sab Ko Marna Hota Hai In English By Famous Poet Imran Aami. AaKHir Ek Din Sab Ko Marna Hota Hai is written by Imran Aami. Read famous Poem AaKHir Ek Din Sab Ko Marna Hota Hai for youth and Student by Imran Aami. Free Download AaKHir Ek Din Sab Ko Marna Hota Hai in PDF.