KanTon Mein Hi Kuchh Zarf-e-samaat Nazar Aae
kanTon mein hi kuchh zarf-e-samaat nazar aae
gulshan mein kahin to meri rudad suni jae
is kargah-e-shisha mein aaina hun main bhi
chehra nahin koi to koi sang hi aae
gul-gasht ka ab zauq na kuchh qadr-e-bahaaran
ek umr se hun zaKHmon ka gulzar sajae
manzil ka hai imkan na koi KHatm-e-safar ka
is aabla-pai ko koi nam diya jae
is wadi-e-kohsar mein patthar hi nahin hain
hai aur bahut kuchh bhi kisi ko to nazar aae
han tez bahut tez hai ab waqt ki raftar
is dil ka karun kya ki jo chal pae na ruk pae
tanbe si zamin aur siwa neze pe suraj
taqdir ne yun hashr ke aasar dikhae
ek gard-e-masafat thi jo chehre se na utri
waise to yahan hum ne kai shahr basae
'imdad'-nizami na suKHnawar the na shaer
kuchh zaKHm amanat the kisi ki wahi le aae
(915) Peoples Rate This