Yunhi Uljhi Rahne Do Kyun Aafat Sar Par Late Ho
yunhi uljhi rahne do kyun aafat sar par late ho
dil ki uljhan baDhti hai jab zulfon ko suljhate ho
chhup chhup kar tum raat ko sahib ghairon ke ghar jate ho
kaisi hai ye baat kaho to kyun-kar munh dikhlate ho
sunte ho kab baat kisi ki apni haT par rahte ho
hazrat-e-dil tum apne kiye par aaKHir ko pachhtate ho
muddat par to aae ho hum dekh len tum ko ji bhar ke
aae ho to Thahro sahib roz yahan kya aate ho
kaisa aana kaisa jaana mere ghar kya aaoge
ghairon ke ghar jaane se tum fursat kis din pate ho
aankhen jhapki jati hain matwali ki si surat hai
jage kis ki sohbat mein jo nind ke itne mate ho
dil se 'asar' kya kahte ho hai jaan ka sauda ishq-e-butan
tum bhi to diwane ho diwane ko samjhate ho
(840) Peoples Rate This