Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7bc3c5c23849dc3accf637043ffdb59c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Thikana Hai Kahin Jaen Kahan Na-chaar BaiThe Hain - Imdad Imam Asar Poetry In English - Darsaal

Thikana Hai Kahin Jaen Kahan Na-chaar BaiThe Hain

Thikana hai kahin jaen kahan na-chaar baiThe hain

ijazat jab nahin dar ki pas-e-diwar baiThe hain

ye matlab hai ki mahfil mein manae aur man jaen

wo mere chheDne ko ghair se bezar baiThe hain

KHaridar aa rahe hain har taraf se naqd-e-jaan le kar

wo yusuf ban ke bikne ko sar-e-bazar baiThe hain

achanak le na lun bosa ye khaTka un ke dil mein hai

mere pahlu mein baiThe hain magar hoshyar baiThe hain

tumhaare aashiqon mein be-qarari kya hi phaili hai

jidhar dekho jigar thame hue do-chaar baiThe hain

qayamat hai sitam murde pe bhi un ko gawara hai

mera lasha uThane ke liye aghyar baiThe hain

lab-e-baam aa ke dikhla wo tamasha tur ka tum bhi

baDe mauqe se dar par talib-e-didar baiThe hain

'asar' kyun-kar na jaanun us ke dar ko qibla-e-alam

usi jaanib kai ruKH kafir o din-dar baiThe hain

(922) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thikana Hai Kahin Jaen Kahan Na-chaar BaiThe Hain In English By Famous Poet Imdad Imam Asar. Thikana Hai Kahin Jaen Kahan Na-chaar BaiThe Hain is written by Imdad Imam Asar. Read famous Poem Thikana Hai Kahin Jaen Kahan Na-chaar BaiThe Hain for youth and Student by Imdad Imam Asar. Free Download Thikana Hai Kahin Jaen Kahan Na-chaar BaiThe Hain in PDF.