Subh-dam Roti Jo Teri Bazm Se Jati Hai Shama
subh-dam roti jo teri bazm se jati hai shama
saf mere soz-e-gham ka rang dikhlati hai shama
jis tarah kale ke man ke ru-ba-ru gul ho charagh
dekh kar tawiz-e-zulf-e-yar bujh jati hai shama
sirf parwana adab se dam-ba-KHud rahta nahin
tere roab-e-husn se mahfil mein tharraati hai shama
gher lete hain tujhe parwane us ko chhoD kar
jis mein tu ho kab farogh us bazm mein pati hai shama
karband-e-adl hote hain jo hain raushan-dimagh
bazm mein har samt yaksan nur pahunchati hai shama
parda-e-fanus se bahar nahin rakhti qadam
ru-ba-ru tere ruKH-e-raushan ke sharmati hai shama
ja-e-girya sohbat-e-ahle--tamasha hai 'asar'
hai baja roti hui jo bazm mein aati hai shama
(807) Peoples Rate This